Ay Chand ki kirno jao na
Tum us ko CHOO Kar aao na
Wo kab kab kya kya karta hai
WO jagta hai ya sota hai
WO kis se batein karta hai
WO shaam ko kaisa lagta hai
WO raat ko kesa dikhta hai
Jab soey kesa lagta hai
Jab jagey kesa dikhta hai
TUM chupkay chupkay jao na
TUM US ko CHOO kar Aao na
HAM us k bina adhoray hain
Or jina mushkil lagta hai
Tum kaan me us ke keh dena
Koi yaad bohat usay karta hai.
Ay chaand ki kirno jao Na...