Patthar tha magar barf ke galon ki tarah tha
Ek shakhs andheron me ujalon ki tarah tha

Khuwabon ki tarah tha na khayalon ki tarah tha
wo ilm-e-ryazi ke sawalon ki tarah tha

Uljha hua aisa ke kabhi hal ho nahi paya
Suljha hua aisa ke misalon ki tarah tha

Wo mil to gaya tha per apna hi muqaddar
Shatranj ki uljhi hui chalon ki tarah tha

Wo rooh me khushbu ki tarah ho gaya tehleel
Jo door bohat chand ke haalon ki tarah tha..