Nafs Nafs Nidhaal hai...Muhabaten kiya kro...


Nafs Nafs Nidhaal hy Muhabaten kiya kro,
Nazar Nazar Malaal hy Muhabaten kiya kro.
Hansi Khushi raha kro, Hansi Khushi Mila kro,
Muhabaton ka Saal hy Muhabaten kiya kro.
Ye Rasta Hayat ka Thaka Thaka Bujha Bujha,
Ye Rasta Muhaal hy
Muhabaten kiya kro.
Mujhe nhi Gharz koi
Jafa kro, Wafa kro,
Magar mera Khyal hy Muhabaten kiya kro.
Adawaton ki Barishen Baras rahi hain Chaar Soo,
Muhabaton ka Kaal hy Muhabatein kiya kro...!